Wahshat Raza Ali Kalkatvi

yahi hai ishq ki mushkil to mushkil aasan hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956

yahī hai ishq mushkil to mushkil āsāñ hai

milā hai dard vo dil ko jo rāhat-e-jāñ hai

tirī nigāh samajhtī hai nahīñ dekhūñ

lab-e-ḳhamosh meñ koī savāl pinhāñ hai

murād-e-zauq ḳharābī ab bar aa.egī

ki dil taak meñ vo chashm-e-fitna-sāmāñ hai

farāġh-e-hauslagī par junūñ shāhid hai

vo ek chaak jo dāman se tā-garebāñ hai

ye be-ḳhudī hai mire aish-e-zindagī kafīl

nigāh-e-shauq abhī mahv-e-rū-e-jānāñ hai

balā-kashoñ duā hai ki ai ḳhudā na miTe

jigar daaġh ki chashm-o-charāġh-e-hijrāñ hai

havā hai shauq-e-suḳhan dil meñ mauj-zan 'vahshat'

ki ham-safīr mirā ro.ab suḳhan-dāñ hai

Top Urdushayar.com