surūr-afzā  huī  āḳhir  sharāb  āhista  āhista
huā  vo  bazm-e-mai  meñ  be-hijāb  āhista  āhista
ruḳh-e-raushan  se  yuuñ  uTThī  naqāb  āhista  āhista
ki  jaise  ho  tulū-e-āftāb  āhista  āhista
kiyā  jab  shauq  ne  us  se  ḳhitāb  āhista  āhista
hayā  ne  bhī  diyā  āḳhir  javāb  āhista  āhista
vo  mastī-ḳhez  nazreñ  rafta  rafta  le  uḌiiñ  mujh  ko
kiyā  kāshāna-e-dil  ko  ḳharāb  āhista  āhista
baḌhā  hañgāma-e-shauq  is  qadar  bazm-e-harīfāñ  meñ
ki  ruḳhsat  ho  gayā  us  kā  hijāb  āhista  āhista
kiyā  kāmil  hameñ  ik  umr  meñ  soz-e-mohabbat  ne
hue  ham  ātish-e-ġham  se  kabāb  āhista  āhista
abas  thā  zabt  kā  da.avā  sitam  us  ke  sitam  nikle
nigāheñ  ho  ga.iiñ  āḳhir  pur-āb  āhista  āhista
dabistān-e-vafā  meñ  umr  bhar  kī  safha-gardānī
samajh  meñ  aa.ī  ulfat  kī  kitāb  āhista  āhista
ba-qadr-e-shauq  use  tāb-e-tapīdan  thī  kahāñ  qātil
kiyā  bismil  ne  tere  iztirāb  āhista  āhista
balā  haiñ  shāhidān-e-shahr  'vahshat'  mai-parastī  meñ
huā  maiñ  un  kī  sohbat  meñ  ḳharāb  āhista  āhista