muravvat  kā  paas  aur  vafā  kā  lihāz
kare  āshnā  āshnā  kā  lihāz
dam-e-sajda  sar  saḳht  thā  be-adab
kiyā  kuchh  na  us  naqsh-e-pā  kā  lihāz
na  mahrūm  rakh  mujh  ko  husn-e-qubūl
rahe  kuchh  to  dast-e-duā  kā  lihāz
vo  haiñ  paas  ab  bas  kar  ai  dard-e-dil
kare  kuchh  maraz  bhī  davā  kā  lihāz
milā.ī  na  'vahshat'  kabhī  us  se  aañkh
mujhe  thā  jo  us  kī  hayā  kā  lihāz