zamīñ  roī  hamāre  haal  par  aur  āsmāñ  royā
hamārī  bekasī  ko  dekh  kar  saarā  jahāñ  royā
maiñ  jab  niklā  chaman  se  shabnam  āb-e-gulistāñ  royā
udāsī  chhā  ga.ī  aisī  ḳhud  āḳhir  bāġhbāñ  royā
na  aayā  rahm  kuchh  bhī  aah  dil  meñ  us  sitamgar  ke
hamārī  jab.ha-sā.ī  ke  asar  se  āstāñ  royā
har  ik  azv-e-badan  mātam-kunāñ  hai  dil  ke  jaane  se
huā  yūsuf  jo  gum  to  kārvāñ  kā  kārvāñ  royā
ḳhalal-afgan  tirī  bazm-e-tarab  meñ  kaun  ho  zālim
huā  kyā  gar  tire  kūche  meñ  koī  tufta-e-jāñ  royā
mire  aañsū  tirī  bedād  kā  parda  na  kholeñge
abas  ye  bad-gumānī  hai  maiñ  kab  royā  kahāñ  royā
udū  ḳhush  hoñ  to  hoñ  ai  be-muravvat  terī  mahfil  meñ
mirā  to  haal  ye  hai  jab  kabhī  aayā  yahāñ  royā
jafā-e-dushmanāñ  aur  bevafā.ī-hā-e-yārāñ  se
bahut  ġham-dīda  ho  kar  'vahshat'-e-āzurda-jāñ  royā