'vahshat'-e-mubtalā  ḳhudā  ke  liye
jaan  detā  hai  kyuuñ  vafā  ke  liye
āshnā  sab  hue  haiñ  begāne
ek  begāna-āshnā  ke  liye
ham  ne  aalam  se  bevafā.ī  kī
ek  māshūq-e-bevafā  ke  liye
thā  use  zauq-e-āshiq-āzārī
ḳhuub  maiñ  ne  maze  jafā  ke  liye
ġhālib  aa.ī  farāmushī  us  kī
vaada  taḌpā  kiyā  vafā  ke  liye
ye  bhī  terī  gadā-navāzī  thī
maiñ  ne  bose  jo  naqsh-e-pā  ke  liye
zauq-e-nazzāra  ne  kiyā  hai  ḳhaak
surma  huuñ  chashm-e-surma-sā  ke  liye
justujū  nañg-e-ārzū  niklī
dard  rusvā  huā  davā  ke  liye
baḌh  chalī  hai  bahut  hayā  terī
mujh  ko  rusvā  na  kar  ḳhudā  ke  liye
hai  ḳhamoshī  mujhe  zabāñ  'vahshat'
fikr  kyā  arz-e-mudda.ā  ke  liye