ā.īna-e-ḳhayāl  thā  aks-pazīr  raaz  kā
tuur  shahīd  ho  gayā  jalva-e-dil-navāz  kā
paaya  bahut  kiyā  buland  us  ne  harīm-e-nāz  kā
tā  nā  pahuñch  sake  ġhubār-e-rah-guzar-e-niyāz  kā
ḳhastagī-e-kalīm  ne  nukta  ajab  samjhā  diyā
varna  harīf  meñ  bhī  thā  is  mizha-e-darāz  kā
dair  milā  thā  raah  meñ  ka.abe  ko  ham  nikal  ga.e
jazba-e-shauq  meñ  dimāġh  kis  ko  ho  imtiyāz  kā
bandagī  aur  sāhabī  asl  meñ  donoñ  ek  haiñ
jis  kā  ġhulām  ayaaz  hai  vo  hai  ġhulām  ayaaz  kā
go  tahī-nasīb  ne  duur  rakhā  to  kyā  huā
banda-e-ḳhāna-zād  huuñ  us  ke  qad-e-darāz  kā
shauq  tirā  hai  maujzan  zauq  tirā  bahāna-jū
khol  na  deñ  bharam  kahīñ  parad  gyaan  raaz  kā
mastī-e-be-ḳhudī  se  yaañ  aañkh  khulī  na  hashr  tak
ya.anī  yahī  javāb  thā  nargis-e-nīm-bāz  kā
āh-o-fuġhāñ  ke  saath  saath  chhā  ga.ī  ek  be-ḳhudī
qat-e-zabāñ  zarūr  thā  sham-e-zabān-darāz  kā
ḳhaak  meñ  mil  ga.e  vale  aañkh  uThī  na  sharm  se
ham  se  huā  na  haq  adā  us  kī  nigāh-e-nāz  kā
mutrib-e-ḳhuld  kyā  sunā.e  vahshat-e-ḳhasta  kyā  sune
mo'taqid-e-qadīm  hai  zamzama  hijāz  kā