poshīda  dekhtī  hai  kisī  kī  nazar  mujhe
dekh  ai  nigāh-e-shauq  tū  rusvā  na  kar  mujhe
maqsad  se  be-niyāz  rahā  zauq-e-jushtujū
maiñ  be-ḳhabar  huā  jo  huī  kuchh  ḳhabar  mujhe
maiñ  shab  kī  bazm-e-aish  kā  mātam-nashīñ  huuñ  aap
ro  ro  ke  kyuuñ  rulātī  hai  sham.a-e-sahar  mujhe
hairat  ne  merī  ā.īna  un  ko  banā  diyā
kyā  dekhte  ki  rah  ga.e  vo  dekh  kar  mujhe
qurbān  jā.ūñ  chhoḌ  takalluf  kī  guftugū
kah  kar  pukār  'vahshat'-e-shorīda-sar  mujhe