maiñ  ne  maanā  kaam  hai  naala  dil-e-nāshād  kā
hai  taġhāful  sheva  āḳhir  kis  sitam-ījād  kā
haa.e  vo  dil  jo  hadaf  thā  nāvak-e-bedād  kā
dard  sahtā  hai  vahī  ab  ġhaflat-e-sayyād  kā
nargis-e-mastāna  meñ  kaifiyat-e-jām-e-sharāb
qāmat-e-rānā  pe  aalam  misra-e-ustād  kā
māna-e-fariyād  hai  kuchh  tab.a  kī  afsurdagī
kuchh  sukūt-āmoz  hai  pās-e-adab  sayyād  kā
is  qadar  dilkash  rahā  terā  agar  andāz-e-jaur
zaḳhm-e-dil  muñh  chuum  legā  ḳhanjar-e-bedād  kā
majlis-e-mātam  banī  aane  se  un  ke  bazm-e-aish
paḌ  gayā  phūloñ  meñ  mere  ġhul  mubārakbād  kā
tū  na  kar  tark-e-sitam  zālim  sitam  ho  jā.egā
jaañ  se  jā.egā  ḳhūgar  lazzat-e-bedād  kā
dard-e-nākām-e-hujūm-e-ārzū  kā  hai  ma.aal
talḳhi-e-hasrat  natīja  shauq-e-ulfat-zād  kā
hasrat-afzā  hai  bahut  mere  dil-e-vīrāñ  kā  jaal
kaun  hai  farmāñ-ravā  is  mulk-e-ġhair-ābād  kā
lutf  hī  aatā  rahā  hai  sa.ī-e-bātil  meñ  mujhe
hai  yahāñ  afsos  kis  ko  mehnat-e-barbād  kā
khīñch  kar  le  chal  mujhe  shauq-e-asīrī  sū-e-dām
kaam  aisā  kar  ki  jis  se  jī  baḌhe  sayyād  kā
kis  ko  shikva  hijr  kā  aur  kis  ko  hasrat  vasl  kī
lutf-parvardā  hai  merā  dil  kisī  kī  yaad  kā
ye  adā-e-dil-rubāyāna  ye  andāz-e-hayā
kis  tarah  phir  kaam  kartī  hai  nazar  jallād  kā
'vahshat'  us  but  ne  taġhāful  jab  kiyā  apnā  shi.ār
kaam  ḳhāmoshī  se  maiñ  ne  bhī  liyā  fariyād  kā