labrez-e-haqīqat  go  afsāna-e-mūsā  hai
ai  husn-e-hijāb-ārā  kis  ne  tujhe  dekhā  hai
mahfil  sī  sajā.ī  hai  dīdār  kī  hasrat  ne
har-chand  tirā  jalva  mahbūb-e-tamāshā  hai
miTtā  hai  kabhī  dil  se  naqsh  us  kī  mohabbat  kā
nākām  tamannā  bhī  majbūr  tamannā  hai
jazbāt  kī  duniyā  meñ  barpā  hai  qayāmat  sī
is  haal  meñ  rū-poshī  kyā  aap  ko  zebā  hai
saaqī  tirī  mahfil  ko  rañgīn  kiyā  jis  ne
vo  ḳhuun  hai  taqve  kā  yā  jalva-e-mīnā  hai
ik  sheva  taġhāful  hai  ik  ishva  tajāhul  hai
ġhussa  hai  bajā  terā  shikva  mirā  bejā  hai
ye  be-dilī  achchhī  hai  dīvāna  na  ban  'vahshat'
anjām  tamannā  kā  hasrat  ke  sivā  kyā  hai