tire  āshufta  se  kyā  hāl-e-betābī  bayāñ  hogā
jabīn-e-shauq  hogī  aur  terā  āstāñ  hogā
zabān-e-sham-e-mahfil  se  sunā  hai  ahl-e-mahfil  ne
tirā  anjām  kyā  parvāna-e-ātish-ba-jāñ  hogā
talātum  hai  umīdoñ  kā  tasādum  ārzūoñ  kā
dil-e-hañgāma-parvar  kaun  terā  rāzdāñ  hogā
raheñ  yūñhī  agar  rañgīniyāñ  tarz-e-tabassum  kī
mire  zaḳhm-e-jigar  par  ḳhanda-e-gul  kā  gumāñ  hogā
tajammul  se  guzar  hogā  tire  kūche  meñ  āshiq  kā
tamannāoñ  kā  lashkar  kārvāñ-dar-kārvāñ  hogā
kabhī  taufīq  tark-e-mā-sivā  kī  ho  hī  jā.egī
dil-e-āzād  hogā  aur  aish-e-jāvedāñ  hogā
surūr-afzā-o-mastī-ḳhez-o-shorish-āfrīñ  hogī
vo  bazm-e-sher  jis  meñ  'vahshat'-e-shevā-bayāñ  hogā