zabt  kī  koshish  hai  jān-e-nā-tavāñ  mushkil  meñ  hai
kyuuñ  ayaañ  ho  aañkh  se  vo  ġham  jo  pinhāñ  dil  meñ  hai
jis  se  chāho  pūchh  lo  tum  mere  soz-e-dil  kā  haal
sham.a  bhī  mahfil  meñ  hai  parvāna  bhī  mahfil  meñ  hai
ishq-e-ġhārat-gar  ne  shah  dī  husn-e-āfat-ḳhez  ko
shauq-e-bismil  hī  se  kas-bal  bāzū-e-qātil  meñ  hai
kuchh  samajh  kar  hī  huā  huuñ  mauj-e-dariyā  kā  harīf
varna  maiñ  bhī  jāntā  huuñ  āfiyat  sāhil  meñ  hai
ḳhud  tujhe  aa  jā.egā  āshiq-navāzī  kā  ḳhayāl
terā  rahrav  kyuuñ  ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil  meñ  hai
mudda.ā-e-ishq  merā  kuchh  nahīñ  juz  zauq-e-ishq
husn  ko  hairat  ki  ye  kis  sa.ī-e-be-hāsil  meñ  hai
apnī  shān-e-be-niyāzī  par  tumheñ  kyā  kyā  haiñ  naaz
kaash  tum  us  shauq  ko  jaano  jo  mere  dil  meñ  hai