dil  ke  kahne  pe  chalūñ  aql  kā  kahnā  na  karūñ
maiñ  isī  soch  meñ  huuñ  kyā  karūñ  aur  kyā  na  karūñ
zindagī  apnī  kisī  tarah  basar  karnā  hai
kyā  karūñ  aah  agar  terī  tamannā  na  karūñ
majlis-e-vāz  meñ  kyā  merī  zarūrat  nāseh
ghar  meñ  baiThā  huā  shuġhl-e-mai-o-mīnā  na  karūñ
mast  hai  haal  meñ  dil  be-ḳhabar-e-mustaqbil
sochtā  huuñ  use  hushyār  karūñ  yā  na  karūñ
kis  tarah  husn-e-zabāñ  kī  ho  taraqqī  'vahshat'
maiñ  agar  ḳhidmat-e-urdu-e-muallā  na  karūñ