mafrūr  kabhī  ḳhud  par  sharminda  nazar  aa.e
mumkin  hai  chhupā  chehra  ā.inda  nazar  aa.e
vallāh  sharāfat  kyā  aslāf  ne  paa.ī  thī
gardish  meñ  rahe  lekin  tābinda  nazar  aa.e
qurbāñ  jo  hue  haq  par  kab  maut  unheñ  aa.ī
sadiyoñ  ke  tasalsul  meñ  vo  zinda  nazar  aa.e
ḳhurshīd-e-muqaddar  ke  bujhne  se  bujhe  kab  ham
zulmat  meñ  sitāroñ  se  raḳhshanda  nazar  aa.e
lagtā  hai  judā  sab  se  kirdār  'vasīm'  us  kā
vo  shahr-e-mohabbat  kā  bāshinda  nazar  aa.e