ham-safar  tū  ne  paroñ  ko  jo  mire  kaaTā  hai
tere  kirdār  kā  ye  sab  se  baḌā  ghāTā  hai
aa.iye  aap  ko  dastār-e-fazīlat  dī  jaa.e
aap  ne  apne  hī  logoñ  kā  galā  kaaTā  hai
koī  dastak  koī  aahaT  na  sadā  hai  koī
duur  tak  ruuh  meñ  phailā  huā  sannāTā  hai
lutf  ye  hai  ki  usī  shaḳhs  ke  mamnūn  haiñ  ham
jis  kī  talvār  ne  qistoñ  meñ  hameñ  kaaTā  hai
ham  pe  ġhalbe  kī  yahī  ek  to  sūrat  thī  'vasīm'
buz-diloñ  ne  yuuñ  hī  ḳhānoñ  meñ  nahīñ  bāñTā  hai