ai  bhañvar  terī  tarah  bebāk  ho  jā.eñge  ham
saath  meñ  rah  kar  tire  tairāk  ho  jā.eñge  ham
dekh  maujoñ  ke  havāle  is  tarah  mat  kar  hameñ
varna  ai  sāhil  tire  saffāk  ho  jā.eñge  ham
shāḳh  se  kaT  kar  alag  hone  kā  ham  ko  ġham  nahīñ
phuul  haiñ  ḳhushbū  luTā  kar  ḳhaak  ho  jā.eñge  ham
ham  kabūtar  kī  tarah  shaffāf  haiñ  ma.asūm  haiñ
tū  miTā.egā  to  phir  chālāk  ho  jā.eñge  ham
oḌh  leñge  ye  zamīñ  chādar  kī  tarah  ek  din
ek  din  miTTī  tirī  ḳhurāk  ho  jā.eñge  ham
sub.h  hote  hī  umīdeñ  thapkiyāñ  deñgī  hameñ
shaam  hote  hī  bahut  namnāk  ho  jā.eñge  ham
aag  to  gulzār  ban  jaatī  hai  rāh-e-shauq  meñ
tum  samajhte  the  ki  jal  kar  raakh  ho  jā.eñge  ham
zindagī  rassī  pe  chaltā  ik  madārī  hai  'vasīm'
kyā  pata  hai  kab  supurd-e-ḳhāk  ho  jā.eñge  ham