basīratoñ  kā  nazar  ehtirām  kartī  hai
samā.atoñ  se  ḳhamoshī  kalām  kartī  hai
ḳhizāñ  kā  raaz  jo  āñkhoñ  pe  munkashif  ho  jaa.e
to  zard  rut  bhī  bahāroñ  kā  kaam  kartī  hai
kahāñ  kā  zarf  kahāñ  kā  vaqār  ye  duniyā
nigāh  jeb  pe  rakh  kar  salām  kartī  hai
zarūrateñ  dar-e-shāhī  pe  le  ke  jaatī  haiñ
mirī  anā  mujhe  apnā  ġhulām  kartī  hai
hisār-e-sūd-o-ziyāñ  se  nikāl  de  yā-rab
ye  zindagī  mirā  jiinā  harām  kartī  hai
buland-o-past  se  parvāz  māvarā  hai  mirī
ye  kā.enāt  mujhe  zer-e-dām  kartī  hai
ḳhudā  kā  shukr  ki  maiñ  ḳhud  se  āshnā  huuñ  'nadīm'
mirī  nigāh  mirā  ehtirām  kartī  hai