ik  qurb  jo  qurbat  ko  rasā.ī  nahīñ  detā
ik  fāsla  ehsās-e-judā.ī  nahīñ  detā
ik  tīrgī  detī  hai  basārat  ke  qarīne
ik  raushnī  vo  jis  meñ  sujhā.ī  nahīñ  detā
ik  qaid  hai  āzādī-e-afkār  bhī  goyā
ik  daam  jo  uḌne  se  rihā.ī  nahīñ  detā
ik  āh-e-ḳhatā  girya-ba-lab  sub.h-e-azal  se
ik  dar  hai  jo  tauba  ko  rasā.ī  nahīñ  detā
ik  shauq  baḌā.ī  kā  agar  had  se  guzar  jaa.e
phir  ''maiñ''  ke  sivā  kuchh  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detā
mat  pūchhiye  chālākiyāñ  merī  ki  mirā  aib
ab  ahl-e-nazar  ko  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detā