rāz-e-fitrat  se  ayaañ  ho  koī  manzar  koī  dhun
sāz-e-hastī  se  bhī  nikle  koī  paikar  koī  dhun
maiñ  vo  āvāz  jo  ab  tak  hai  samā.at  se  pare
maiñ  vo  naġhma  abhī  utrī  nahīñ  jis  par  koī  dhun
ik  ġhazal  chheḌ  ke  rotā  rahā  mujh  meñ  koī
ik  samāñ  bāñdh  ke  hañstī  rahī  mujh  par  koī  dhun
ūñghne  lagtī  hai  jab  paañv  ke  chhāloñ  kī  tapak
chheḌ  dete  haiñ  mirī  raah  ke  patthar  koī  dhun
aql  farmān  sunātī  rahī  TuuTā  na  jumūd
raqs-e-vahshat  kā  taqāzā  thā  mukarrar  koī  dhan
vaqt  kī  lai  se  ham-āhañg  jo  hotā  huuñ  nadīm
bain  kartī  hai  kahīñ  ruuh  ke  andar  koī  dhun