mushkileñ  ḳhaal  ḳhaal  chāhte  haiñ
shauq  meñ  e'tidāl  chāhte  haiñ
kaT  ke  apnī  jaḌoñ  se  kuchh  paude
sabz  mausam  kī  shaal  chāhte  haiñ
kam  se  kam  ḳhud  se  to  haiñ  muḳhlis  vo
jo  hameñ  hasb-e-hāl  chāhte  haiñ
laakh  jiinā  harām  ho  ham  par
ham  to  rizq-e-halāl  chāhte  haiñ
kyā  kamī  aa  ga.ī  hai  chāhat  meñ
zaḳhm  kyuuñ  indimāl  chāhte  haiñ
aañkh  pathrā  ga.ī  hai  ro  ro  kar
ashk  apnā  nikāl  chāhte  haiñ
chand  lamhāt  surḳh-rūī  ke
kitne  hī  māh-o-sāl  chāhte  haiñ
ghar  ke  jalve  'nadīm'  kam  to  nahīñ
ik  zarā  dekh-bhāl  chāhte  haiñ