sab  ko  ye  fikr  haath  se  ab  ek  pal  na  jaa.e
duniyā  hudūd-e-vaqt  se  aage  nikal  na  jaa.e
sab  ko  fareb  de  magar  itnā  rahe  ḳhayāl
bahrūp  bharte  bharte  ye  chehra  badal  na  jaa.e
ġham  se  nibāh  kījiye  is  tamkanat  ke  saath
dil  kā  sharāra  aañkh  kī  had  tak  machal  na  jaa.e
zauq-e-nazar  diyā  hai  to  zarf-e-nazar  bhī  de
Dar  hai  mujhe  shu.ūr  kī  vus.at  nigal  na  jaa.e
suntā  huuñ  aap  merī  ayādat  ko  ā.eñge
kartā  huuñ  sau  jatan  ki  tabī.at  sambhal  na  jaa.e
vo  dard  hai  ki  phaT  na  paḌe  dil  kahīñ  'nadīm'
vo  ḳhauf  hai  ki  riiḌh  kī  haDDī  pighal  na  jaa.e