hamīñ  pe  tañg  ye  vaqt-e-ravāñ  huā  to  kyā
darāz  aur  bhī  kār-e-jahāñ  huā  to  kyā
ye  surḳh  talve  ye  tanhā.ī  āḳhirī  hichkī
ab  is  se  aage  koī  kārvāñ  huā  to  kyā
ye  rāste  haiñ  buzurgoñ  kī  ḳhaak  se  raushan
so  maiñ  bhī  chal  ke  yahīñ  rā.egāñ  huā  to  kyā
yahāñ  to  shahr  hī  ātish-fishāñ  kī  zad  par  hai
jo  apne  siine  meñ  thoḌā  dhuāñ  huā  to  kyā
ġhurūr  yuuñ  hai  ki  us  ke  gadāgaroñ  meñ  huuñ
barā.e  ḳhalq  maiñ  shāh-e-jahāñ  huā  to  kyā
hamīñ  ne  dī  thī  jagah  us  ko  apnī  palkoñ  meñ
vo  zarra  aaj  jo  koh-e-girāñ  huā  to  kyā
jo  kar  sakā  na  kisī  taur  mutma.in  ḳhud  ko
savāl  uThtā  hai  mojiz-bayāñ  huā  to  kyā
tamām  log  samā.at  se  ho  ga.e  mahrūm
tab  apnā  lahja  ġhazal  kī  zabāñ  huā  to  kyā
'nadīm'  aañkh  meñ  aañsū  hai  saare  aalam  kā
vatan  hamārā  jo  hindostāñ  huā  to  kyā