āsmāñ  ishq  kī  azmat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
kyā  ye  sahrā  mirī  vahshat  ke  savā  bhī  kuchh  hai
muuñd  luuñ  aañkh  to  be-kār  hai  sab  rañg-e-jahāñ
kyā  mirī  chashm-e-ināyat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
kuchh  to  hai  jis  ke  batāne  se  huuñ  qāsir  lekin
ab  tire  dard  meñ  lazzat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
merī  ā.ankhoñ  se  koī  us  kā  sarāpā  dekhe
tab  khulegā  ki  qayāmat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
har  ta.alluq  kisī  qīmat  kā  talab-gār  nahīñ
dil  ke  saude  meñ  tijārat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
haañ  vo  ik  lamha  ki  haq-goī  pe  gardan  kaT  jaa.e
ya.anī  tā-umr  ibādat  ke  sivā  bhī  kuchh  hai
husn  sab  husn-e-tabī.at  pe  hai  mauqūf  'nadīm'
yā  kahīñ  husn-e-tabī.at  ke  sivā  bhī  kuchh  hai