kī  tū  ne  lab-kushā.ī  to  kis  ke  huzūr  kī
ab  kirchiyāñ  sameT  dil-e-nā-subūr  kī
kis  ke  lahhū  meñ  shaam  nahā  kar  hai  surḳh-rū
kis  ne  chukā.ī  ḳhuun  se  qīmat  ġhurūr  kī
sadiyoñ  se  kis  kī  qabr  pe  girya-kunāñ  hai  raat
leTā  hai  kaun  oḌh  ke  chādar  ye  nuur  kī
ilm-o-kamāl  aap  kī  mīrās  kyā  kahā
parteñ  na  kholiye  mere  tahtush-shu.ūr  kī
taqdīr  jitnā  chāhe  mujhe  dar-ba-dar  kare
miTTī  se  ḳhū  na  jā.egī  burhān-pūr  kī
phir  bā-adab  haiñ  lafz-o-ma.ānī  mire  huzūr
phir  fauj  utar  rahī  hai  ḳhayāl-e-tuyūr  kī
tafhīm  āñ-janāb  ye  'ġhālib'  kā  sher  hai
kuchh  an-kahī  batā.iye  bainassutūr  kī
ham  ḳhud  se  ham-kalām  ho.e  kam  nahīñ  'nadīm'
jāveñ  kalīm  sair  kareñ  koh-e-tūr  kī