rahte  haiñ  intishār  meñ  saa.e  idhar  udhar
imkān-e-ishq  sab  hī  gañvā.e  idhar  udhar
maiñ  dasht-e-be-giyāh  meñ  bhejī  ga.ī  magar
kartī  phirūñ  maiñ  dasht  meñ  haa.e  idhar  udhar
ahl-e-zabān  gum  rahe  tasbīh  meñ  mirī
rakkhūñ  maiñ  jān-e-shauq  chhupā.e  idhar  udhar
sahrā  ko  pyaas  sauñp  ke  dariyā  simaT  gayā
abr-e-siyāh  duur  hī  chhā.e  idhar  udhar
vo  ishq-e-nā-murād  mirī  jaan  le  gayā
phāhe  to  zaḳhm-e-jāñ  pe  sajā.e  idhar  udhar
rāhoñ  meñ  tīrgī  ne  ujāle  ko  Das  liyā
ye  raat  kaale  jism  ko  khaa.e  idhar  udhar
āvārgī  kā  zauq  'humā'  dil  ko  bhā  gayā
ye  aur  baat  jaañ  nahīñ  jaa.e  idhar  udhar