apne  naḳhre  sambhāl  chaltā  ban
tujh  meñ  kyā  hai  kamāl  chaltā  ban
rū-ba-rū  tere  rakh  diyā  maiñ  ne
har  javāb-o-savāl  chaltā  ban
phone  kartā  hai  roz  jis  ko  tū
rakh  usī  kā  ḳhayāl  chaltā  ban
kañkarī  bhī  pahāḌ  jaisī  hai
apne  patthar  sambhāl  chaltā  ban
faanī  duniyā  meñ  ham  bashar  jaise
aur  tū  be-misāl  chaltā  ban
tū  'humā'  ko  jo  saḳht-sust  kahe
terī  itnī  majāl  chaltā  ban