kabhī  hañsnā  kabhī  ronā  kabhī  naale  haiñ  tire
kyā  kahūñ  haa.e  ki  sab  ruup  nirāle  haiñ  tire
chāñdnī  phuul  ki  ḳhushbū  kā  tasavvur  karnā
naam  kuchh  bhī  rahe  ye  sab  hī  havāle  haiñ  tire
ab  to  is  dil  meñ  nahīñ  kuchh  bhī  bachā  tere  sivā
in  meñ  yādoñ  ke  na.e  zaḳhm  jo  paale  haiñ  tire
dasht  kā  dasht  tire  hijr  meñ  chhānā  maiñ  ne
paañv  mere  haiñ  magar  in  meñ  bhī  chhāle  haiñ  tire
jism  meñ  aag  bhaḌaktī  hai  tirī  qurbat  se
dekh  ham  bhī  to  yahāñ  chāhne  vaale  haiñ  tire
āḳhirī  vaqt  talak  koshisheñ  kar  kar  dekheñ
hijr  ke  daam  meñ  uljhe  hue  chāle  haiñ  tire