na.ī  ġhazal  kā  na.ī  fikr-o-āgagī  kā  varaq
zamāna  khol  rahā  hai  suḳhanvarī  kā  varaq
mohabbatoñ  ke  hasīñ  baab  se  zarā  aage
kitāb-e-zīst  meñ  miltā  hai  gumrahī  kā  varaq
sunahrī  sā.ateñ  mansūb  haiñ  tire  ġham  se
palaT  ke  dekh  zarā  merī  zindagī  kā  varaq
kitāb  vaqt  kī  āñdhī  meñ  khul  ga.ī  shāyad
havā  meñ  uḌ  gayā  derīna  dostī  kā  varaq
tilāvatoñ  meñ  haiñ  masrūf  tā.irān-e-sahar
ufuq  ne  kholā  hai  kirnoñ  kī  raushnī  kā  varaq
mile  haiñ  aaj  suḳhan  mere  sab  ḳhatoñ  ke  javāb
jo  mere  haath  lagā  us  kī  Diary  kā  varaq