kisī  talab  meñ  huā  maiñ  na  dar-ba-dar  ab  ke
rahā  nigāh  kā  mehvar  bas  apnā  ghar  ab  ke
na  jaane  kitne  hī  raste  the  muntazir  lekin
simaT  ke  rah  gayā  qadmoñ  meñ  hī  safar  ab  ke
ye  intizār  kī  shiddat  na  thī  kabhī  pahle
muhīt  lagtā  hai  sadiyoñ  pe  lamha  bhar  ab  ke
bahār-e-lāla-o-gul  ke  qasīde  ḳhatm  hue
ḳhizāñ  kā  marsiya  paḌhtā  hai  har  shajar  ab  ke
ye  kaisā  nasha  musallat  thā  ab  ke  zehnoñ  par
tabāhiyoñ  se  rahe  sab  hī  be-ḳhabar  ab  ke
samar  kī  parvā  kiye  bin  hī  ham  ne  boyā  hai
zamīn-e-ḳhvāb  pe  ummīd  kā  shajar  ab  ke
ajiib  mausam-e-karb-o-balā  hai  gulshan  meñ
rakhā  hai  ġhunchoñ  ne  kāñToñ  pe  apnā  sar  ab  ke
ghuTan  meñ  vaqt  kī  bārūd  ban  gayā  huuñ  'suḳhan'
na  phūñk  de  mujhe  aa  kar  koī  sharar  ab  ke