mahak  rahā  hai  tasavvur  meñ  ḳhvāb  kī  sūrat
khilā  khilā  sā  vo  chehra  gulāb  kī  sūrat
savāl  us  se  ajab  merī  ḳhāmushī  ne  kiyā
hañsī  laboñ  pe  thī  us  ke  javāb  kī  sūrat
kitāb-e-dil  kā  mirī  ek  baab  ho  tum  bhī
tumheñ  bhī  paḌhtā  huuñ  maiñ  ik  nisāb  kī  sūrat
pukārā  jab  bhī  mujhe  tum  ne  dasht-e-imkāñ  se
koī  umiid  sī  ubhrī  sarāb  kī  sūrat
ye  us  ke  qurb  kī  pādāsh  meñ  'suḳhan'  ham  ko
nasīb  hijr  huā  hai  azaab  kī  sūrat