na.e  haiñ  vasl  ke  mausam  mohabbateñ  bhī  na.ī
na.e  raqīb  haiñ  ab  ke  adāvateñ  bhī  na.ī
javāñ  diloñ  meñ  panapte  haiñ  ab  na.e  rūmān
hasīn  chehroñ  pe  likkhī  ibārateñ  bhī  na.ī
vo  mujh  ko  chhū  ke  pashemāñ  hai  ajnabī  kī  tarah
adā.eñ  us  kī  achhūtī  sharārteñ  bhī  na.ī
vo  jis  ne  sar  meñ  diyā  inqalāb  kā  saudā
mire  lahū  ko  vo  baḳhshe  harārateñ  bhī  na.ī
ḳhushī  meñ  hans  nahīñ  sakte  ye  ġham  ki  ġham  bhī  nahīñ
hamāre  karb  anokhe  aziyyateñ  bhī  na.ī
na.ī  ravish  na.e  imkāñ  nirālā  tarz-e-'suḳhan'
hamāre  lafzoñ  se  raushan  bashārateñ  bhī  na.ī