Nashtar Khaanqahi

ilm kis ko tha ki tarsil-e-hawa ruk jaegi

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006

ilm kis ko thā ki tarsīl-e-havā ruk jā.egī

agle mausam tak mirī nashv-o-numā ruk jā.egī

ho chukegā daf.atan zauq-e-samā.at muḳhtalif

aate aate mere hoñToñ tak sadā ruk jā.egī

kyuuñ nādim hai itnī mere ghar aabrū

kis ke sar par aisī āñdhī meñ ridā ruk jā.egī

ab tamāshā dekhne vāloñ meñ ham-sāya bhī hai

TūTtī chhat mere chillāne se kyā ruk jā.egī

kārvāñ ko gher legā sukūt-e-regzār

gūñjne se qabl bāñg-e-darā ruk jā.egī

kal na hogā koī is bastī meñ merā muntazir

kal mire talvoñ meñ āvāz-e-pā ruk jā.egī

kyā tahaffuz de sakegī mujh ko vaz-e-ehtiyāt

kyā darīche muuñd lene se balā ruk jā.egī

Top Urdushayar.com