Nashtar Khaanqahi

kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006

kabhī to multavī zikr-e-jahāñ-gardāñ bhī honā thā

kabhī to ehtimām-e-sohbat-e-yārāñ bhī honā thā

tavaqqo ke mutābiq hai ye tabdīlī to hairat kyā

use mushkil bhī honā thā mujhe āsāñ bhī honā thā

riyā-kāroñ pe kal tak jis ke darvāze muqaffal the

usī jannat meñ jashn-e-fitna-pardāzāñ bhī honā thā

kabhī dekhā na thā yuuñ ham ne bāzār-e-vafā vīrāñ

to kyā is shahr meñ qahat-e-ḳharīdārāñ bhī honā thā

abhī tak jo kināre se ba-zāhir shānt lagtā thā

usī dariyā ko ab tūfāñ pas-e-tūfāñ bhī honā thā

bil-āḳhir ham bhī shab bhar jāgte rahne se baaz aa.e

dayār-e-hijr meñ kuchh vasl sāmāñ bhī honā thā

ye taaza bāb-e-dānā.ī yahāñ aa kar maiñ shashdar huuñ

jo kal tak the bahut daanā unheñ nādāñ bhī honā thā

Top Urdushayar.com