tāmīr  ham  ne  kī  thī  hamīñ  ne  girā  diye
shab  ko  mahal  banā.e  savere  girā  diye
kamzor  jo  hue  hoñ  vo  rishte  kise  aziiz
piile  paḌe  to  shāḳh  ne  patte  girā  diye
ab  tak  hamārī  umr  kā  bachpan  nahīñ  gayā
ghar  se  chale  the  jeb  ke  paise  girā  diye
patthar  se  dil  kī  aag  sambhālī  nahīñ  ga.ī
pahuñchī  zarā  sī  choT  patiñge  girā  diye
barsoñ  hue  the  jin  kī  taheñ  kholte  hue
apnī  nazar  se  ham  ne  vo  chehre  girā  diye
shahr-e-tarab  meñ  raat  havā  tez  thī  bahut
kāñdhoñ  se  mah-vashoñ  ke  dupaTTe  girā  diye
tāb-e-nazar  ko  hausla  milnā  hī  thā  kabhī
kyuuñ  tum  ne  ehtiyāt  meñ  parde  girā  diye