Nashtar Khaanqahi

aage pahuncha jal ka dhaara bajra pichhe chhuT gaya

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006

aage pahuñchā jal dhārā bajrā pīchhe chhūT gayā

rasta chhoḌ savāroñ ko maiñ piyāda pīchhe chhūT gayā

ye bastī kaun bastī hai aa ke kahāñ bas Thahar ga.ī

jis dhaam utarnā chāhā thā vo qasba pīchhe chhūT gayā

aage aage lambī Dagar hai ret bhare maidānoñ

jis taT ik pal Thahre the vo dariyā pīchhe chhūT gayā

baiThe haiñ sailānī saare patjhaḌ hai vishvāsoñ

mandir chhūTā girjā chhūTā ka.aba pīchhe chhūT gayā

vaqt ḳhāna-bandī saarī ab ke safar meñ dhuul huī

maazī kaisā haal kahāñ fardā pīchhe chhūT gayā

kitne kuchh the jīvan-sāthī kitne kuchh the lahū sharīk

chehra sab saath hai lekin rishta pīchhe chhūT gayā

chhoTā kamra habs balā chhoTī aql ke āshiq ham

vahshat karne jaa.eñ kahāñ jab sahrā pīchhe chhūT gayā

Top Urdushayar.com