Miyan dad Khan Sayyah

tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai

Miyan dad Khan Sayyah

1829-1907
tark in dinoñ jo yaar se guft-o-shunīd hai
ham ko moharram aur raqīboñ ko iid hai
shāyad hamāre qaul pe hablul-varīd hai
ham se ḳhudā qarīb hai ka.aba ba.iid hai
guzrā mah-siyām na kyuuñ panja-e-sharāb
ḳhālī kā chāñd ye nahīñ hai māh-e-īd hai
shuġhl apnā bāda-ḳhvārī hai aur taak silsila
pīr-e-muġhāñ bhī ek hamārā murīd hai
dil le chuke haiñ jaan bhī ab māñgte haiñ vo
baiThe haiñ bigḌe aur taqāzā shadīd hai
chal khol qufl ābla-e-pā ke ai junūñ
har ik zabān-e-ḳhār bayābāñ kalīd hai
vahshat meñ pairahan kī uḌiiñ dhajjiyāñ tamām
tan par qabā-e-dāġh hai so nau-ḳharīd hai
suntā huuñ roz-e-hashr na hogī use najāt
jo sayyadoñ se buġhz rakhe vo yazīd hai
aisā mazā bharā hai tabī.at meñ faqr kā
gañj-e-shakar hai siina mirā dil farīd hai
'sayyāh'-e-be-navā huuñ jahāñ-gard hai laqab
gardish meñ charḳh-e-pīr bhī merā murīd hai
Top Urdushayar.com