Miyan dad Khan Sayyah

kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai

Miyan dad Khan Sayyah

1829-1907

kaun sayyād idhar bahr-e-shikār aatā hai

tā.ir-e-dil qafas-e-tan meñ jo ghabrātā hai

zulf-e-mushkīñ jo is shoḳh ke dhyān aatā hai

zaḳhm se sīna-e-majrūh char jaatā hai

hijr meñ maut bhī aa.ī na mujhe sach hai masal

vaqt par kaun kisī ke koī kaam aatā hai

ab to allāh hai yārān-e-vatan hāfiz

dasht meñ josh-e-junūñ ham ko liye jaatā hai

Duub kar chāh-e-zaqan siina mirā dil niklā

qadd-e-ādam se sivā aab nazar aatā hai

muzhda ai dil ki masīhā ne diyā saaf javāb

ab koī dam ko laboñ par mirā dam aatā hai

teġh chaltī hai qātil dam-e-jañg zabāñ

sulh naam jo letā hai to haklātā hai

turra-e-kākul-e-pechāñ ruḳh-e-nūrānī par

chashma-e-ā.īna meñ saañp lahrātā hai

shauq tauf-e-haram-e-kū-e-sanam din raat

sūrat-e-naqsh-e-qadam Thokareñ khilvātā hai

dū-ba-dū āshiq-e-shaidā se vo hogā kyūñkar

ā.īne meñ bhī jo muñh dekhte sharmātā hai

saḳht pachhtāte haiñ ham de ke dil us ko 'sayyāh'

apnī afsos javānī pe hameñ aatā hai

Top Urdushayar.com