Miyan dad Khan Sayyah

kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla

Miyan dad Khan Sayyah

1829-1907
kabhī idhar jo sag-e-kū-e-yār aa niklā
gumāñ huā mire vīrāne meñ humā niklā
ruḳh us kā dekh huā zard nayyar-e-āzam
sunahre burj se jis dam vo mah-laqā niklā
vo sun ke paak mohabbat kā naam kahte haiñ
hamārī jaan ko lo ye bhī pārsā niklā
hamāre paañv paḌe aa ke aable har gaam
kabhī jo dasht-e-junūñ meñ barhana-pā niklā
mah-e-siyām meñ aayā jo vo hilāl-abrū
gumāñ huā ye mujhe chāñd iid kā niklā
jahāñ kī sair to kī tū ne lekin ai shah-e-husn
kabhī faqīr ke takiye pe tū na aa niklā
na niklā vahm ke maare vo ghar se bhī 'sayyah'
galī se yaar ke tābūt jab mirā niklā
Top Urdushayar.com