Hidayatullah Khan Shamsi

ras aai na mujhe anjuman-arai bhi

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970
raas aa.ī na mujhe anjuman-ārā.ī bhī
āfat-e-jān banī haa.e shanāsā.ī bhī
dushmanoñ kī mire auqāt kahāñ thī itnī
sāzish-e-qatl meñ shāmil thā mirā bhaa.ī bhī
aañkh andhī thī zamāne se yahāñ logoñ kī
mar ga.ī zer-e-dahan quvvat-e-goyā.ī bhī
tujh se nisbat ho koī sañg-e-malāmat kī agar
mujh ko pyārī hai tire shahr meñ rusvā.ī bhī
kashtī-e-zīst jahāñ Duub rahī thī merī
mere apne the vahāñ log tamāshā.ī bhī
kar diyā mujh ko masā.il ne abhī se būḌhā
vaqt ne ruḳh se mire chhīn lī ra.anā.ī bhī
muflisī jin ke muqaddar meñ likhī hai 'shamsī'
un ke ghar bajtī nahīñ hai kabhī shahnā.ī bhī
Top Urdushayar.com