Hidayatullah Khan Shamsi

ras aai na mujhe anjuman-arai bhi

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970

raas aa.ī na mujhe anjuman-ārā.ī bhī

āfat-e-jān banī haa.e shanāsā.ī bhī

dushmanoñ mire auqāt kahāñ thī itnī

sāzish-e-qatl meñ shāmil thā mirā bhaa.ī bhī

aañkh andhī thī zamāne se yahāñ logoñ

mar ga.ī zer-e-dahan quvvat-e-goyā.ī bhī

tujh se nisbat ho koī sañg-e-malāmat agar

mujh ko pyārī hai tire shahr meñ rusvā.ī bhī

kashtī-e-zīst jahāñ Duub rahī thī merī

mere apne the vahāñ log tamāshā.ī bhī

kar diyā mujh ko masā.il ne abhī se būḌhā

vaqt ne ruḳh se mire chhīn ra.anā.ī bhī

muflisī jin ke muqaddar meñ likhī hai 'shamsī'

un ke ghar bajtī nahīñ hai kabhī shahnā.ī bhī

Top Urdushayar.com