sham.a kā mai kā shafaq-zār kā gulzār kā rañg
sab haiñ aur sab se judā hai lab-e-dīdār kā rañg
aks-e-sāqī se chamak uTThī hai sāġhar kī jabīñ
aur kuchh tez huā bāda-e-gulnār kā rañg
shaiḳh meñ himmat-e-rindān-e-qadah-ḳhvār kahāñ
ek hī jaam meñ āshufta hai dastār kā rañg
un ke aane ko chhupā.ūñ to chhupā.ūñ kyuuñ kar
badlā badlā sā hai mere dar-o-dīvār kā rañg
shafaq-e-sub.h-e-shahādat se hai tābinda jabīñ
varna ālūda-e-ḳhūñ thā ufuq-e-dār kā rañg
āftāboñ kī tarah jaagī hai insān kī jot
jagmagātā hai sirā parda-e-asrār kā rañg
vaqt kī ruuh munavvar hai navā se merī
asr-e-nau meñ hai mirī shoḳhī-e-afkār kā rañg