sham.a  kā  mai  kā  shafaq-zār  kā  gulzār  kā  rañg
sab  haiñ  aur  sab  se  judā  hai  lab-e-dīdār  kā  rañg
aks-e-sāqī  se  chamak  uTThī  hai  sāġhar  kī  jabīñ
aur  kuchh  tez  huā  bāda-e-gulnār  kā  rañg
shaiḳh  meñ  himmat-e-rindān-e-qadah-ḳhvār  kahāñ
ek  hī  jaam  meñ  āshufta  hai  dastār  kā  rañg
un  ke  aane  ko  chhupā.ūñ  to  chhupā.ūñ  kyuuñ  kar
badlā  badlā  sā  hai  mere  dar-o-dīvār  kā  rañg
shafaq-e-sub.h-e-shahādat  se  hai  tābinda  jabīñ
varna  ālūda-e-ḳhūñ  thā  ufuq-e-dār  kā  rañg
āftāboñ  kī  tarah  jaagī  hai  insān  kī  jot
jagmagātā  hai  sirā  parda-e-asrār  kā  rañg
vaqt  kī  ruuh  munavvar  hai  navā  se  merī
asr-e-nau  meñ  hai  mirī  shoḳhī-e-afkār  kā  rañg