maiñ  jahāñ  tum  ko  bulātā  huuñ  vahāñ  tak  aao
merī  nazroñ  se  guzar  kar  dil-o-jāñ  tak  aao
phir  ye  dekho  ki  zamāne  kī  havā  hai  kaisī
saath  mere  mire  firdaus-e-javāñ  tak  aao
hausla  ho  to  uḌo  mere  tasavvur  kī  tarah
merī  taḳh.īl  ke  gulzār-e-jināñ  tak  aao
teġh  kī  tarah  chalo  chhoḌ  ke  āġhosh-e-niyām
tiir  kī  tarah  se  āġhosh-e-kamāñ  tak  aao
phuul  ke  gird  phiro  baaġh  meñ  mānind-e-nasīm
misl-e-parvāna  kisī  sham-e-tapāñ  tak  aao
lo  vo  sadiyoñ  ke  jahannam  kī  hadeñ  ḳhatm  huiiñ
ab  hai  firdaus  hī  firdaus  jahāñ  tak  aao
chhoḌ  kar  vahm-o-gumāñ  husn-e-yaqīñ  tak  pahuñcho
par  yaqīñ  se  bhī  kabhī  vahm-o-gumāñ  tak  aao
isī  duniyā  meñ  dikhā  deñ  tumheñ  jannat  kī  bahār
shaiḳh-jī  tum  bhī  zarā  kū-e-butāñ  tak  aao