masti-e-rindāna  ham  sairābi-e-mai-ḳhāna  ham
gardish-e-taqdīr  se  haiñ  gardish-e-paimāna  ham
ḳhūn-e-dil  se  chashm-e-tar  tak  chashm-e-tar  se  tā-ba-ḳhāk
kar  ga.e  āḳhir  gul-o-gulzār  har  vīrāna  ham
kyā  balā  jabr-e-asīrī  hai  ki  āzādī  meñ  bhī
dosh  par  apne  liye  phirte  haiñ  zindāñ-ḳhana  ham
raah  meñ  faujoñ  ke  pahre  sar  pe  talvāroñ  kī  chhāñv
aa.e  haiñ  zindāñ  meñ  bhī  bā-shaukat-e-shāhāna  ham
miTte  miTte  de  ga.e  ham  zindagī  ko  rañg-o-nūr
rafta  rafta  ban  ga.e  is  ahd  kā  afsāna  ham
yā  jagā  dete  haiñ  zarroñ  ke  diloñ  meñ  mai-kade
yā  banā  lete  haiñ  mehr-o-māh  ko  paimāna  ham
qaid  ho  kar  aur  bhī  zindāñ  meñ  uḌtā  hai  ḳhayāl
raqs  zanjīroñ  meñ  bhī  karte  haiñ  āzādāna  ham