abhī  aur  tez  kar  le  sar-e-ḳhanjar-e-adā  ko
mire  ḳhuuñ  kī  hai  zarūrat  tirī  shoḳhi-e-hinā  ko
tujhe  kis  nazar  se  dekhe  ye  nigāh-e-dard-āgīñ
jo  duā.eñ  de  rahī  hai  tirī  chashm-e-bevafā  ko
kahīñ  rah  ga.ī  ho  shāyad  tire  dil  kī  dhaḌkanoñ  meñ
kabhī  sun  sake  to  sun  le  mirī  ḳhūñ-shuda  navā  ko
koī  boltā  nahīñ  hai  maiñ  pukārtā  rahā  huuñ
kabhī  but-kade  meñ  but  ko  kabhī  ka.abe  meñ  ḳhudā  ko