laġhzish-e-gām  liye  laġhzish-e-mastāna  liye
aa.e  ham  bazm  meñ  phir  jur.at-e-rindāna  liye
ishq  pahlū  meñ  hai  phir  jalva-e-jānāna  liye
zulf  ik  haath  meñ  ik  haath  meñ  paimāna  liye
yaad  kartā  thā  hameñ  sāqī-o-mīnā  kā  hujūm
uTh  ga.e  the  jo  kabhī  raunaq-e-mai-ḳhāna  liye
vasl  kī  sub.h  shab-e-hijr  ke  ba.ad  aa.ī  hai
āftāb-e-ruḳh-e-mahbūb  kā  nazrāna  liye
asr-e-hāzir  ko  mubārak  ho  nayā  daur-e-avām
apnī  Thokar  meñ  sar-e-shaukat-e-shāhāna  liye