sub.h har ujāle pe raat kā gumāñ kyuuñ hai
jal rahī hai kyā dhartī arsh pe dhuāñ kyuuñ hai
ḳhanjaroñ kī sāzish par kab talak ye ḳhāmoshī
ruuh kyuuñ hai yaḳh-basta naġhma be-zabāñ kyuuñ hai
rāsta nahīñ chalte sirf ḳhaak uḌāte haiñ
kārvāñ se bhī aage gard-e-kārvāñ kyuuñ hai
kuchh kamī nahīñ lekin koī kuchh to batlāo
ishq is sitamgar kā shauq kā ziyāñ kyuuñ hai
ham to ghar se nikle the jītne ko dil sab kā
teġh haath meñ kyuuñ hai dosh par kamāñ kyuuñ hai
ye hai bazm-e-mai-noshī is meñ sab barābar haiñ
phir hisāb-e-sāqī meñ suud kyuuñ ziyāñ kyuuñ hai
den kis nigah kī hai kin laboñ kī barakat hai
tum meñ 'ja.afarī' itnī shoḳhī-e-bayāñ kyuuñ hai