sub.h  har  ujāle  pe  raat  kā  gumāñ  kyuuñ  hai
jal  rahī  hai  kyā  dhartī  arsh  pe  dhuāñ  kyuuñ  hai
ḳhanjaroñ  kī  sāzish  par  kab  talak  ye  ḳhāmoshī
ruuh  kyuuñ  hai  yaḳh-basta  naġhma  be-zabāñ  kyuuñ  hai
rāsta  nahīñ  chalte  sirf  ḳhaak  uḌāte  haiñ
kārvāñ  se  bhī  aage  gard-e-kārvāñ  kyuuñ  hai
kuchh  kamī  nahīñ  lekin  koī  kuchh  to  batlāo
ishq  is  sitamgar  kā  shauq  kā  ziyāñ  kyuuñ  hai
ham  to  ghar  se  nikle  the  jītne  ko  dil  sab  kā
teġh  haath  meñ  kyuuñ  hai  dosh  par  kamāñ  kyuuñ  hai
ye  hai  bazm-e-mai-noshī  is  meñ  sab  barābar  haiñ
phir  hisāb-e-sāqī  meñ  suud  kyuuñ  ziyāñ  kyuuñ  hai
den  kis  nigah  kī  hai  kin  laboñ  kī  barakat  hai
tum  meñ  'ja.afarī'  itnī  shoḳhī-e-bayāñ  kyuuñ  hai