kaam ab koī na aa.egā bas ik dil ke sivā
rāste band haiñ sab kūcha-e-qātil ke sivā
bā.is-e-rashk hai tanhā-ravī-e-rah-rav-e-shauq
ham-safar koī nahīñ dūrī-e-manzil ke sivā
ham ne duniyā kī har ik shai se uThāyā dil ko
lekin ek shoḳh ke hañgāma-e-mahfil ke sivā
teġh munsif ho jahāñ dār-o-rasan hoñ shāhid
be-gunah kaun hai us shahr meñ qātil ke sivā
jaane kis rañg se aa.ī hai gulistāñ meñ bahār
koī naġhma hī nahīñ shor-e-salāsil ke sivā