kaam  ab  koī  na  aa.egā  bas  ik  dil  ke  sivā
rāste  band  haiñ  sab  kūcha-e-qātil  ke  sivā
bā.is-e-rashk  hai  tanhā-ravī-e-rah-rav-e-shauq
ham-safar  koī  nahīñ  dūrī-e-manzil  ke  sivā
ham  ne  duniyā  kī  har  ik  shai  se  uThāyā  dil  ko
lekin  ek  shoḳh  ke  hañgāma-e-mahfil  ke  sivā
teġh  munsif  ho  jahāñ  dār-o-rasan  hoñ  shāhid
be-gunah  kaun  hai  us  shahr  meñ  qātil  ke  sivā
jaane  kis  rañg  se  aa.ī  hai  gulistāñ  meñ  bahār
koī  naġhma  hī  nahīñ  shor-e-salāsil  ke  sivā