Ali Sardar Jafri

wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
vahī husn-e-yār meñ hai vahī lāla-zār meñ hai
vo jo kaifiyat nashe kī mai-e-ḳhush-gavār meñ hai
ye chaman kī aarzū hai koī luuT le chaman ko
ye tamām rañg-o-nik.hat tire iḳhtiyār meñ hai
tire haath kī bulandī meñ faroġh-e-kahkashāñ hai
ye hujūm-e-māh-o-anjum tire intizār meñ hai
bas usī ko toḌnā hai ye junūn-e-naf.a-ḳhorī
yahī ek sard ḳhanjar dil-e-rozgār meñ hai
abhī zindagī hasīñ hai abhī zikr-e-maut kaisā
abhī phuul khil rahe haiñ abhī to kanār meñ hai
abhī mai-kada javāñ hai abhī mauj meñ hai saaqī
abhī jaam raqs meñ hai abhī mai bahār meñ hai
yahī merā sher-o-naġhma yahī merī fikr-o-hikmat
jo surū-o-dard-mandī dil-e-be-qarār meñ hai
Top Urdushayar.com